Sunday 6 April 2014

WOH MERE YOUVAN KI YAADEIN

WOH MERE YOUVAN KI YAADEIN


SUNA THA JAMANE SE HUMNE TOH, HOTE HAI WHO PAL ANMOL,

HAR DIL ME KUCH NAYA KAR JANE KI HOTI HAI UMANG,HAR KAHAANI MEIN MAUSAM SUHANA HOTA HAI UN DINO MEIN,PAR YAHAAN TOO KUCH AUR HI NAZAARA HAI.

MAUSAM TOO SUHANE AATE HAI, PAR ASAR JO WHO AISE DE JAATE HAI IS DIL ME HUM BAND AANKHON SE HI ROJATE HAI.

HAR BAAR AANSOON HI BAARISH DE JAATE HAI,UN KAALI GHATAO ME JAB HAWA KE JHONKE SE MERE BAAL HAWA SE LAHRATE HAI,YEHI SOCH DIL RAHJATA HAI KOI HOTA JO USKI KHUSHBOO APNI SAANSON ME BHAR LETA
HAR BAAR YEHI SOCH KAR GAMGEEN HO JAATE HAI,

WHO THANDI HAWA JO GAALOO KO CHUKE JAATI HAI ,NAHI KAR SAKTE BAYAN KAISE BIJLI SI TANHAHI IS DIL MEIN DAUD JAATI HAI,
BAARISH MEIN TOH SIRF AB KAPDE HI GEELE HOTE HAI,MUN KA SUKHAPAN AANSOO KE RAASTE JADH JAATA HAI

DIN TOH PHIR BHI HASTE, MUSKAARATE, JHOOTI - KHABRE BANATE, NIKAL JAATA HAI
RAATOO KA KYA AB TO FACEBOOK AND WATSAPP BHI SIRF GUSSA HI DILATE HAIN, KAISE BATAYE YEH DIN YEH SUHANE MAUSAM

KAISE HUME ITNA RULATE HAI, KAISE HUME ITNA JALATE HAI.













No comments:

Post a Comment