Sunday 6 April 2014

DIL SAMBHAL JA ZARA PHIR ISHQ KARNE CHALA

DIL SAMBHAL JA ZARA PHIR ISHQ KARNE CHALA


BHOLA MAASOOM NADAN DIL YEH MERA, KYON CHALA TU PHIR SE ISHQ ME PADNE BHALA,
AANJAAME ISHQ JAAN CHUKA HAI, LEKIN AATA HAI ISKO AISE JEENE ME RAAS BADA,
HAR MAASOOM CHAHRE PAR AA JAATA HAI ,BUNLETA HAI SAPNE KAI HAZZAR ANJANE MEIN,
SAMJHAATE HAI ISE BAHUT LEKIN, YEH KAHAN SAMJHANE SE SUNNE WALA HAI,
RAHTA HAI APNI DHUN ME YEH SAWAR, JAB AATA HAI JUNNON ISKO RAHTA HAI UTTARO HAR HAD KO KARNE KO PAAR,
PHIR DHEERE- DHEERE LAUT AATA HAI JAB JAAN JAATA HAI YEH NA THA PYAAR
YEH TOH THA KUCH PAL KUCH ANHAD DIN KI BAYAAR, RAHATA HAI MAYUS KUCH DIN, TANHAI BAN JAATI HAI PHIR SE ISKI YAAR, JAAN JATA HAI YAAR THA BEWAFA NA THA ISKE KAABIL
LEKIN KAB TAQ RAHEGA UDAAS, KAB TAQ LAGAYEGA TOOTE SAPNO SE AAS
ROOTA HAI SISAKTA HAI AA JAATA HAI WAPAS, KHALI HOKAR HAR BAAR
LEKIN KAHAN MAANTA HAI HAAR PHIR KARTA HAI TALASH NAYE MEHROON KI JO LE AAYE EK BAAR PHIR SE PYAAR KI BAYAAR DE JAYE UMEEDEN HAZAR
KYA KARE BECHARA NADAN HAI, CHAHTA HI KYA HAI BUS EK BAAR MIL JAYE ISE SACHA PYAAR SACHA PYAAR.


No comments:

Post a Comment