Friday 17 October 2014


क़ुछ पल जीवन में ऐसे आते हैं ,

जब हम भीड़ में भी तनहा हो जाते है ॥
  
दुनिया के बंधन में ऐसे बंध जाते है कि ,

अपनों में भी पराये नज़र आते हैं ॥ 

फिर भी नज़रूँ को रहती है तलाश किसी अपने की, 

 हर पल कुछ सुनना चाहता है येः दिल ,

पर जब कोई सुनने वाला हो तोह लफ्ज़ बदल जाते है ;

जैसे किसी खौफ से होठ सील जाते हैं 

जज़्बातों का जैलाब फिर थम जाता है और उफनता हुआ 
समुन्दर शांत हो जाता है 
और हम फिर उस अँधेरी रौशनी में घुल मिल जाते है॥ 

Sunday 20 July 2014

WHY SHOULD I BE SENSIBLE!




WHY SHOULD I BE SENSIBLE!

I GONNA BE A LADY, I SHOULD LEARN TO BE MODEST

I AM BORN TO LEAD THE RULES OF SOCIETY

I HAVE NO RIGHTS TO BE LIBERAL

WHAT I FEEL IN MY HEART , HOW CAN I THOUGHT OF IT

MY HEART IS MEANT TO BE DEALS, HOW CAN I LISTEN TO IT

THERE IS NO SCOPE FOR MY BODY AND SOUL TO FEEL FREE

IT’S ALL OCCUPIED BY DAISY DEE

HOW CAN MY EYES GIVE SPACE TO TEARS , THESE ARE MADE TO BE PLUMPED WITH 

KOHL AND LINER,

WHETHER MY LIPS HAVE A SMILE OR NOT WHO CARES ?

WHAT MATTER A LOT I ,IF I HAVE GOT SOME GLITTER OR GLOSS

HERE MAY BE PLETHORA OF FEELINGS BUT ALL ARE IN VAIN

ALL THESE ARE MADE TO BE DUMPED IN THE BRIGHTNESS OF FAKE SOCIETY


AND I AM HERE MODERN CUM TRADITIONAL GIRL OF ALMIGHTY!

FIRST POEM -WRITTEN IN 9TH CLASS






BAARISH KI WOH KAL KAL BOONDE..

KARTI BAS HAI ANTHAKARAN MEIN..

BAARISH KI BOONDOON KA GUNJAN.

KARTA HAI MAN MEIN MERE MANJAR..

BAARISH KI WOH PAHLI BOOND .

NA HOONE DE AANKHOON KO MOOND..

MOR NAACHTE, KOYAL GAATI.

MAN MEIN NAYI UMANG SI AATI..

KARO KAAM AB TOH SAB DIL SE.

SIKHO KUCH IS NAYE BASANT SE   ||

Sunday 6 April 2014

DIL SAMBHAL JA ZARA PHIR ISHQ KARNE CHALA

DIL SAMBHAL JA ZARA PHIR ISHQ KARNE CHALA


BHOLA MAASOOM NADAN DIL YEH MERA, KYON CHALA TU PHIR SE ISHQ ME PADNE BHALA,
AANJAAME ISHQ JAAN CHUKA HAI, LEKIN AATA HAI ISKO AISE JEENE ME RAAS BADA,
HAR MAASOOM CHAHRE PAR AA JAATA HAI ,BUNLETA HAI SAPNE KAI HAZZAR ANJANE MEIN,
SAMJHAATE HAI ISE BAHUT LEKIN, YEH KAHAN SAMJHANE SE SUNNE WALA HAI,
RAHTA HAI APNI DHUN ME YEH SAWAR, JAB AATA HAI JUNNON ISKO RAHTA HAI UTTARO HAR HAD KO KARNE KO PAAR,
PHIR DHEERE- DHEERE LAUT AATA HAI JAB JAAN JAATA HAI YEH NA THA PYAAR
YEH TOH THA KUCH PAL KUCH ANHAD DIN KI BAYAAR, RAHATA HAI MAYUS KUCH DIN, TANHAI BAN JAATI HAI PHIR SE ISKI YAAR, JAAN JATA HAI YAAR THA BEWAFA NA THA ISKE KAABIL
LEKIN KAB TAQ RAHEGA UDAAS, KAB TAQ LAGAYEGA TOOTE SAPNO SE AAS
ROOTA HAI SISAKTA HAI AA JAATA HAI WAPAS, KHALI HOKAR HAR BAAR
LEKIN KAHAN MAANTA HAI HAAR PHIR KARTA HAI TALASH NAYE MEHROON KI JO LE AAYE EK BAAR PHIR SE PYAAR KI BAYAAR DE JAYE UMEEDEN HAZAR
KYA KARE BECHARA NADAN HAI, CHAHTA HI KYA HAI BUS EK BAAR MIL JAYE ISE SACHA PYAAR SACHA PYAAR.


WOH MERE YOUVAN KI YAADEIN

WOH MERE YOUVAN KI YAADEIN


SUNA THA JAMANE SE HUMNE TOH, HOTE HAI WHO PAL ANMOL,

HAR DIL ME KUCH NAYA KAR JANE KI HOTI HAI UMANG,HAR KAHAANI MEIN MAUSAM SUHANA HOTA HAI UN DINO MEIN,PAR YAHAAN TOO KUCH AUR HI NAZAARA HAI.

MAUSAM TOO SUHANE AATE HAI, PAR ASAR JO WHO AISE DE JAATE HAI IS DIL ME HUM BAND AANKHON SE HI ROJATE HAI.

HAR BAAR AANSOON HI BAARISH DE JAATE HAI,UN KAALI GHATAO ME JAB HAWA KE JHONKE SE MERE BAAL HAWA SE LAHRATE HAI,YEHI SOCH DIL RAHJATA HAI KOI HOTA JO USKI KHUSHBOO APNI SAANSON ME BHAR LETA
HAR BAAR YEHI SOCH KAR GAMGEEN HO JAATE HAI,

WHO THANDI HAWA JO GAALOO KO CHUKE JAATI HAI ,NAHI KAR SAKTE BAYAN KAISE BIJLI SI TANHAHI IS DIL MEIN DAUD JAATI HAI,
BAARISH MEIN TOH SIRF AB KAPDE HI GEELE HOTE HAI,MUN KA SUKHAPAN AANSOO KE RAASTE JADH JAATA HAI

DIN TOH PHIR BHI HASTE, MUSKAARATE, JHOOTI - KHABRE BANATE, NIKAL JAATA HAI
RAATOO KA KYA AB TO FACEBOOK AND WATSAPP BHI SIRF GUSSA HI DILATE HAIN, KAISE BATAYE YEH DIN YEH SUHANE MAUSAM

KAISE HUME ITNA RULATE HAI, KAISE HUME ITNA JALATE HAI.













KAISE YUN BADLI MAIN

KAISE YUN BADLI MAIN
WOH TOH THI EK NANHI SI GUDIYAAN, BAND THI USKI MUTHI ME YEH SAARI DUNIYA
MUMMI KI PYAARI PAPA KI DULARI, DAADI KI NADAAN SI PARI,
HAR ROJ KARTI THI NAYE- NAYE KARNAAME,
 DHEERE -DHEERE WOH HO RAHI THE BADI,
KARTI THI WHO JO HOTA THA MUN MEIN USKE,
SUNNA TOH KABHI NA SEEKHA THA USNE,
HAR ROJ USKI SHIKAYATE AATI, KABHI TEACHER TOH KABHI PADUS KI AUNTY LATI,
KAR RAKHA THA USNE SABKO PARESHAAN HAR BAAR MUMMY KAHTI HEY BHAGWAN ! KAHAN SE AAYI HAI YEH SHAITAAN,
PHIR HONE LAGI WHO SAMAJH DAAR , MILNE LAGA USKO SABSE PYAAR AUR DULAAR,
HAMESHA RAHTI HUNSTI KHIL-KHILAATI ,
MUMMI BHI DEKH USKO DAR JAATI ,KAHIN LAG NA JAYE NAZAR MERI GUDIYAN KO MUN HI MUN DAR JAATI
DHEERE -DHEERE USKA BACHPAN CHUTA USKI HUNSI KO DUNIYA KI JIMMEDARIYUN NE LUTA ,PATA HI NA CHALA KISNE USE ITNA SAMAJHDAAR BANA DIYA,DEKHTE HI DEKHTE USNE SAARRA GHAR SAMBHAL LIYA
BHAI , BAHNO KA RAKHNE LAGI WHO DHYAAN ,MUMMI PAPA KE LIYE USNE JEENA SIKHA ,
PAR AB WOH GUDIYA NAHI HAI,SAMAY KI KATHPUTLI BANKAR RAH GAYI HAI ,
BUS BHAAGTI RAHTI HAI IDHAR SE UDHAR, AB USKE HOTHO NPAR HUNSI TOH HAI PAR LAGTA HAI NAA JAANE ANDAR SE WHO DUKHI HAI
KYA JIMMEDAARIYUN NE USSE USKO CHEEN LIYA YA DUNIYAAN KE RITI RIWAAJO NE USKI HUNSI KO CHURA LIYA
AAJ KYON NAHI WHO MAA BABA SE WHO KAH PAATI JOO WHO CHAHTI HAI
AAJ KYON WHO SHABDO KO BAS HOTHON TAQ HI LAATI HAI
BAS HAR BAAR YEHI SOCH KAR RAH JAATI HAI ,MA BABA KAHIN GALAT NA SAMJHE ,
KITNI BADAL GAYI HAI WOH ,HUNSTI BHI HAI TOH DOOSROO KO KHUSH KARNE KE LIYE,
GUDIYA AB GUDIYAA NAHI RAHI WHO SAMAJ ,SANSKAAR KI KATHPUTLI HAI
KYONKI AB WHO BADI HO GAYI HAI ,
KYONKI AB WHO BADI HO GAYI HAI ,


Monday 10 March 2014

WOH BACHPAN KI YAADEIN!

WOH BACHPAN KI YAADEIN!


AAJ PHIR GHIR AAYI, BACHPAN KI WOH YAADEIN,,
WOH NANI DADI KE GHAR BITYAI, PHURSAT BHARI RAATEIN,,
WOH BUA AUR CHACHI KE KISSE, WHO MAUSI KI SHARARATE,,
WOH NANI KI AALMARI SE, MUMMI KI CHUDEE AUR KANGAN PAHANNA,,
WOH PAPA KI ATTACHI SE, MUMMI KO LIKHE LETTER CHUPKE SE PADNA,,
WOH MAUSI KI NAKLI CHOOTI SE BAALOON KO SAJAANA,TOH KABHI BUA KI PIN SE BAALON KO SAJANA,
PHIR PURAANE CUP MEIN SUBAH KI CHAI KA PEENA,
 WOH NAANI KE SAATH PADOUS ME TV DEKHNE JAANA,,
WOH DAADI KE SAATH KHETON MEIN POORA-POORA DIN BITANA,
GHASS MEIN BAITH KAR ROOTI AUR GUD KA KHAANA,
KAHAN WOH BAAT HAI SHOWER KE PAANI MEIN ,
MAJE HI KUCH AUR THE TUBEWELL KE PAANI ME NAHANE KE,,
HAR ROJ NAYE NAYE SHOUK BANTE THE  ,
KABHI ROOMAL KI KADAI DEKH EMBROIDARY HOTI ,
TOH KABHI PAPA KE LIYE KURTA SILTE THE’’
KABHI CHULHE PAR ROTI BANAKE SOCHTE THE ,AB TOH BUS SHAADI KE LIYE READY HAIN
ALAG HI MASTI THI UN SHAAMOON MEIN ,
WOH SHAAM KO DAADI SE PAIR DHULWANA AUR PHIR KHAAT PAR CHAD JAANA, AUR MUMMI KE LAKH BULANE PAR BHI NEECHE NA AANA , 
DADI SE BOLKAR MUMMI KI DAAT LAGWANA ,
 AUR PAPA KE AANE PAR SOONE KA BAHANA BANANA,,
BADO KI BAATEIN KAAN LAGAKAR SUNNA,
KARWAT BADAL BADAL KAR SOONE KI ACTING KARNA
AB NA NAANI HAI NA DAADI HAI NA UNKI BAATEIN HAI NA MAIN HI WOH AB,,
AB HAI TOH YE BHAAGTI SI JINDAGI , NA EK PAL KI SAANS ,NA WOH PHURSAT WALI RAAT NA MASTI WALE DIN,NA WOH KHULI HAWA NA WHO TUBEWELL KA PAANI ,AB HAI TOH BUS YEH KHAALI KHAALI SI TANHA JAWANI!


(9TH MARCH 2014)

Sunday 9 February 2014

KYON BEETE WOH LAMHE

KYON BEETE WOH LAMHE

AAJ PHIR JO SAATHI SE SAATH CHHUTAA
USKE HAATHO SE HAATH CHHUTAA, MAN SE UNKA KHAYAL CHHUTTA
PHIR SE IS DIL SE DIL KA HAAL CHHUTAA
NA JAANE KAISE BEETE WOH DIN, JINKI HAR RAAT ME THA KHAYAL UNKA
LAGTA THA DIL APNA BADA KHUDDAR HAI
NA JAANE KAISE PHIR AKHOON SE KYUN YE PAANI TOOTA
YAAD HUMME AAJ BHI HAI, AANKHO SE AANKHO KA MILNA
MAN HI MAN ME UN KHAYALO KA BUNNA ,SANG JEENE MARNE KI KASME KHANA
BAITHE BAITHE HI YUN SADIYAAN BITANA
UNKA YUN HUMME CHOTI CHOTI BATTO PAR HASANA
AUR HUMARA YUN HI BINA BAAT RUTH JAANA,
BINA WAJAH UN TOHFO KA MILNA ,AUR JAANTE HUE BHI YUN HI KAYAS LAGANA
AAJ BHI RAH RAH KAR YAAD AATA HAI , WOH JAAN KAR BHI ANJAAN BUNJAANA
MANZAR TOO PAHLE DIN SE JAANTA THA NADAN DIL
PHIR BHI NA JAANE KYON ISE LAGA, BADAL DEGA MANZIL
AB TOH YE AALAM HAI, NA HUSTE BANTA NA ROONE KA MAN HOTA
HANSE TO KAUN SUNEGA, YEH JALIM JAMANA TOH HANSI DEKH YUN HI JALEGA
RONE KA BHI KOI ANJAAM NAHI ,JO POCCHE AANSOO AB WOH HAATH SATH NAHI
AB BHI NAA JAANE KYON LAGTA HAI ,SHAYED KUCH BADAL SAKTA HAI
SHAYED ROOTHI MANJIL KO NAYA RAASTA MIL SAKTA HAI
YEH SOCH DIL TOH HALKA HO JAATA HAI , PAR MAN TO MAN HI MAN SISAKTA HAI
KAASH KOI WAQT THAAM LETA , UNSE MILNE KO EK AUR SHAAM DE DETA
EK BAAR JEE BHAR DEKH LETA MAN UNKI AANKHON MEIN APNA AKS

TOH SHAAYED PHIR YE NAADAN DIL ITNA UDAAS NA HOTA, SHAYED ITNA UDAS NA HOTA
TOH SHAAYED PHIR YE NAADAN DIL ITNA UDAAS NA HOTA, SHAYED ITNA UDAS NA HOTA

(8TH FEB 2014)